"काश ! ए खुदा"
Kash ki aisa hota.....
Teri is duniya me sb insa hi hote...
Sb haste ....
Aur sb pyare hi hote......
Tere is jaha me...
Thoda sa sukun hota...
Thoda chain bhi hota....
Toda daya ka bhav hota....
Asar dua ka bhi hota.....
Kahi apnapan hota....
Parayapan nahi hota....
Jindagi khubsurat hoti....
Tamnna jeene ki hoti....
Araman adhure na hote...
Sapne bhikhar nhi jaate.....
Koi khwahish nahi hoti....
Koi mazboor nhi hota...
Kash.....
Kisi ko dard dena na aata...
Kisi ko dard sahana na padata.....
Kash
Ki nafarat shabd na hota....
Pyar kabhi kam nhi hota....
Chehare kale bhale hote ...
Magar dil saaf sachche hote...
Kash
Tujhe banana hi aata.....
Bbigadana aaya na hota....
Insa bs insa hi hota .....
Wo vahasi hua nhi hota......
Kash
Khushiya har tarf hoti....
Aansu bane nhi hote...
Dard chhupta nhi dil me....
Wo bahar aa gaya hota...
Kash....
Tu bhi yaha hota....
Aur aansu baha raha
hota...
Tu bhi mazbur yu hota.....
Dard se tadap raha hota....
Tujhe bhi maut na aati....
Koi kinara nahi milata.....
Kash............
kash ki aapka sanidhya hamesha hota...v.touchy..
ReplyDeleteBhut samvedansheel hai
ReplyDeleteKaash aisa hota to har khi khuda hota